Shiv Ling aur Shiv Moorti
- bhagwanshivam
- Mar 3, 2016
- 1 min read

| Om Namah Shivaya | SHIVLING aur SHIVMOORTI ka gyaan: Puraano mein Bhagwan Shiv ko "NISHKAL" aur "SAKAL" dono hi kaha gaya hai. NISHKAL=Niraakar SAKAL=Roop ke saath. SHIVLING unke NISHKAL[Niraakar] hone ka prateek hai jo unke BRAHMBHAAV ko darshata hai. SHIVMOORTI unke roopwan hone ka prateek hai jo unke MAHESHWARBHAAV ko darshata hai. NISHKAL aur SAKAL hone ke karan Bhagwaan SHIV hi ek matra devta hai jise SAKSHAT BRAHM kaha gaya hai.
Isiliye woh MOORTI aur LING dono mein hi pooje jaate hain.
Bhagwan Shiv kehte hain ki SHIVLING adheek mahtwapurna haI.Unka kehna hai ki agar chaaron aur SHIVMOORTI ho jaye phir bhi woh sthaan KSHETRA nahin kehlata, lekin agar ek bhi SHIVLING kahin bhi sthaapit ho to woh sthaan KSHETRA kehlata hai.
| HAR HAR MAHADEV |
Comments